Paratho ka swaad bhool gaye
Chamach kaante ki aadat kya padi
Achaar me lipte haath bhool gaye.
Malls ki shopping kya rang laayi
Nukkad ka sunday bazaar bhool gaye
Zameer bheegone me koi kasar nahi chhodi
Par pehli baarish ki phuwaar bhool gaye.
Internet pe chatting shatting bahut
Padosi ka naam tak bhool gaye
Hum network badhane ke chakkar me
Kareebi doston ka pyaar bhool gaye.
Bado ke aage jhuk jaana to door
Hum nazre jhukana tak bhool gaye
Is kadar gir gaye apni nazro me hum
Ab to maafi ka bahana tak bhool gaye.
Yu dhundhla sa gaya hai drishya saara
Hum aaine me dikhta insaan bhool gaye
Jo bi dikha wo pehchaana na gaya
Hum apne imaan ka naam bhool gaye.
© 2009-2010 Ankit Arora. All Rights Reserved
© 2009-2010 Ankit Arora. All Rights Reserved
3 comments:
I think this your bestest post amongst ALL.
Simple and to the point. Amazing.
very nicee...kuch pyar gum in sab say hat kar likha ..good
Kya baat, kya baat, kya baat! Too Good Yaar.
Must say aap Gazabka likhte ho! :)
Post a Comment